Yun hum ko satane ki zarurat kya thi.
Dil mera tod k jane ki zarurat kya thi
Jo nahi tha ishq tune keh diya hota
Hume yun aazmane ki zarurat kya thi
Maloom tha gehrey khawab toot jaein ge
Neend main aa k jagane ki zarurat kya thi
Maan lon agar yeh ek tarfa mohabat thi to
Mujhay dekh ker muskurane ki zarurat kya thi
Jo hum na thay tumhare qabil-e-nazar
To Mohabat sikha ker thokar lagane ki zarurat kya thi...?????????
No comments:
Post a Comment